بسم الله الرحمن الرحيم! خوش آمدید ہم تمام وزیٹرز کہ خوش آمدید کہتے ہیں آپ ہماری وہب سائٹ کی مدد سے ٹیکنالوجی کی تمام خبروں سے باخبر رہ سکتے ہیں اس کے علاوہ آپ ہر کمپیوٹر کی تعلیم بھی بالکل مفت حاصل کر سکتے ہیں ہماری گزارش ہے کہ آپ خود بھی ہماری ویب سائٹ سے فائدہ اٹھائیں اور اپنے دوستوں کو بھی ہماری ویب سائٹ کا بتائیں شکریہ





London aik jaiza ke mutabiq bachay walidain se sab se ziyada ”Kue walay sawalaat puchhte hain aur dilchasp baat yeh hai ke walidain ke bachon ke nisf se zayed sawalaat ke jawab nahi day paate hain. jaiza report se pata chalta hai k bachay walidain se din bhar mein kam az kam 8 baar aisay sawalaat karte hain jin ki ibtida kyun se hoti hai. teen se das baras ke bachon ke walidain par Mushtamil aik mutalay mein taqreeban 47 feesad walidain ne bataya ke khaas tor par car ke safar ke douran bachay bohat sawalaat puchhte hain. khawandgi ke farogh ki aik tanzeem red on gate on “ ke jaizay ke mutabiq 51 feesad walidain ne bataya ke bachon ke dosray sawalaat mein ziyada tar poocha jata hai ke kitna waqt aur lagey ga? isi terhan bachay aksar maa baap se sawal karte hain ke kya hota hai jab aap mrjate hain? ya phir bohat se bachay apne walidain se yeh sawal zaroor karte hain ke bachay kahan se atay hain? walidain ne bataya ke bachon ke aasaan se scienci sawalaat bhi aksar un ke liye aik challenge ban jatay hain .
 
Top